Google search console me account kaise banaye

1. Sabse phle google search console ki website par jaye or gmail se apna account log in kare.
2. Account log in karne ke bad ab aapko isme apni website/blog add karna hai.
3. Add a property par click kare.
4. Ab apni website ka url yaha enter kare or add par click kare.
5. Website add par click karne ke bad ab aapko iska verification karna hai uske liye alternate methods par click kare or html tag wala method select kare.
6. Html tag me aapko ek code diya jayega jise aapko apne blog/website ke template me add karna hai.
7. Apne blogger ke dashboard me jaye or template par click karke edit html par click kare.
8. Template ke ander aapko upar first me <head> show hoga uske niche  ye code paste karke save karde.
9. Ab varify par click kare.
Ab aapke blog/website google search console me add ho gayi hai.
Iske or bhi bahut sare fayde hai.
1. Google search me humari website jaldi aati hai.
2. Humari website par error nahi aate.
3. Isko help hum humare page ya post ko google search engine se hide kar skte hai jisse visitors humare un page ya post ko search engine me nahi dekh skte .
Dosto aasha karta hun google search console ke bare me ab aapko kafi knowledge ho gyi hogi.
Is article se related aap agar koi  sawaal puchna chahte hai to comment krke puch skte hai