Blog Content Copy Hone Se Kaise Roke
Hello friends, aaj hum is article me sikhenge blog ke content copy hone se kaise roke. Taki koi bhi humare blog ke content ko copy nahi kar paye.
Blog ke content ko copy hone se rokne ke liye hume text selection ko disable karna hoga. Jisse koi bhi humare blog ke content ko copy nahi kar payega.
Friends new blogger koi bhi acchi website se article copy karke khud ke blog par dal dete hai. Vo sochte hai ki isse unke visitors badhenge par sayad vo ye nahi jante hai ki kisi dusre ke article’s ko copy karke khud ke blog par paste karna black hat seo kehlata hai or aisa karne me unka nuksan hai.
Is article me aaj me aapko bataunga ki blog content ko copy hone se kaise rok sakte hai.
Blog Content Copy Hone Se Kaise Roke
Blog Content Copy Hone se rokne ke liye hume ek code ko blog ke widget me add karna hai jisse aapke blog par text selection disable ho jayega or koi bhi blogger aapke content ko copy nahi kar payega.
How To Disable Text Selection
1. Sabse pahle blog ke dashboard me jaye or layout par click kare.
2. Layout par click karne ke bad add a gadget par click karke html/java script ko select kare.
3. Html/java script me ye code paste kare or fir save par click kare.
<!--learnhinditricks.com--> <script language='JavaScript1.2'> function disableselect(e){ return false } function reEnable(){ return true } document.onselectstart=new Function ("return false") if (window.sidebar){ document.onmousedown=disableselect document.onclick=reEnable } </script> <!--learnhinditricks.com-->
4. Ab aap apne blog ko visit kare or waha se content copy karne ki koshish kare.
Aap dekh sakte hai ki ab koi bhi aapke blog se kuch bhi copy nahi kar sakta hai. Matlab aapke blog se ab text selection disable ho gaya hai.
Dosto aasha karta hu ye article aapka accha laga hoga. Is article se related agar aapko koi bhi bat samjh nahi aayi ho to aap comment karke apna sawaal humse puch sakte hai.
No comments:
Post a Comment