Pages

Highlight Of Last Week

Search This Website

Showing posts with label BLOG. Show all posts
Showing posts with label BLOG. Show all posts

Wednesday, March 15, 2017

Free Me Domain Name Kaise Kharide

Free Me Domain Name Kaise Kharide

Domain name sabhi blog or websites ke liye zaruri hota hai , Mene domain name kharidne ka pahle bhi ek article likha hai jisme mene btaya tha godaddy se domain name kharidna.

Is article me aap sikhenge free me domain name kharidna.

Free Domain Name Kaise Kharide

Bahut sari aisi companies hai jo 1 year ke liye free me domain name provide karvati hai jisko hum humari blog or website ke liye use kar sakte hai, me aapko sabse acchi company ke bare me bataunga jiska domain name aap 1year ke liye blog or website par use kar sakte hai free me.

Freenom ye ek website hai jo 1 year ke liye free me domain name provide karvati hai yaha se aap free me domain name kharid sakte hai.

Freenom se domain name kaise kharide

1. Freenom se free me domain name kharidne ke liye sabse pahle iski website ko visit kare or apna domain name find kare jo aap blog ke liye use karna chahte hai.

2. Ab aapko 5 domain show honge unme se aap jo blog ke liye use karna chahte hai vo select kar sakte hai.

Aap dot tk select kar sakte hai kyuki google adsense dot tk domain name ko accept karta hai.

3. Get it now par click karne ke bad vo domain name aapke cart me add ho jayega fir go to cart par click kare.

4. Ab period me 12month free select kare Or fir continue par click kare.

5. Iske bad aapse aapka gmail account pucha jayega or verify karne ke liye kaha jayega, apna gmail enter kare or usko verify kare.

6. G-mail par aapko ek mail milega waha ek link hoga us par click kare or fir apna pura naam or address se freenom par account create kare.

7. Company name ko khali rahne de or terms and conditions ko accept karke complete offer par click kare.

8. Freenom par apna gmail or password enter karke log in kare.

Ab aapka domain name aapne kharid liya hai or vo aapke account me add ho gaya hai.

Aasha karta hun aapko ye article pasand aaya hoga. Is article se related aapko agar koi sawaal puchna ho to comment me puch sakte hai.

Read More »

Google Adsense Ki New Privacy Policy Kya Hai

Google Adsense Ki New Privacy Policy Kya Hai

Is article me aap janenge google adsense ki privacy policy ke bare me.

Adsense kyu aapke blog ko approve nahi karta ya kyo aapka adsense disable ho gaya hai ya ho sakta hai.

Agar aap ek adsense user hai ya aap adsense ko use karna chahte hai to aapko iski privacy policy ke bare me zaroor janna chahiye taki aapka adsense disabled na ho. Or aapko kisi bhi tarah ki kisi pareshani ka samna na karna pade.

Google Adsense New Privacy Policy

1. Copyright content

Google copyright content ko kabhi allow nahi karta or na un par add allow karta hai, google only unique content pasand karta hai. Kabhi bhi kisi ka post copy na kare varna aapka adsense kabhi bhi approve nahi hoga or agar aap aisa kar rahe hai to aapka adsense kabhi bhi disable ho sakta hai. Yaad rakhe ki google 100$ ho jane par payment karta hai, or agar aap copyright content use kar rahe hai to google 100$ hone se pahle aapka adsense disable kar dega isliye humesha khud ke banaye huve article blog par share kare.

2. Copyright images

Agar aap google se download ki hui images aapke blog par use kar rahe hai to vo bhi copyright issue me aati hai, humesha apne post ke liye image khud banaye na ki google se download karke upload kare. Agar aapka adsense approve nahi ho raha hai to uska ye bhi ek bada reason hai.

3. Ads ko galat jagah par use karna

Visitors aapke blog par content read karne ke liye aate hai na ki ads par click karne, agar aapne google adsense ke ads post me aisi jagah par lagaye huve hai jaha par visitors galti se click kar rahe hai kyuki unko samjh nahi aa raha hai ki jo aapne likha hai vo google ka add hai ya fir aapka content or agar visitors us par galti se click karke vapas back aate hai to vo error click me aata hai or is vajah se aapka adsense kabhi bhi disable ho sakta hai.

4. Explicit text

Agar aapne post me only title or headlines ka use kiya hua hai to adsense un post par add allow nahi karta hai. Kuch log post me sirf title likh kar kuch line likhte hai or waha add show kar dete hai or unka adsense disable ho jata hai, to kabhi bhi aisa na kare post ko pura likhe or us par jitna long aapka content hai uske aadhar par add lagaye.

5. Users ko add par click karne ke liye uksana

Agar aap users ko ads par click karne ke liye uksa rahe hai, unko bol rahe hai add par click karne ke liye to adsense aapke account ko disable kar sakta hai, google ko aapke blog ke bare me puri jaankari hoti hai ki aap kya kar rhe hai isliye users ko add par click karne ke liye kabhi bhi nahi bole.

6. Fake visitors

Google adsense fake visitors allow nahi karta hai, kuch websites hai jo free me visitors provide karvati hai blog par traffic increase karne ke liye to aap agar jyada paisa kamane ke liye aisa kar rahe hai to bhi aapka adsense disable ho sakta hai kyuki adsense only real visitors allow karta hai jo aapke likhe huve post ko read kare.

To dosto aap google ki in sabhi privacy policy ko dhiyan me rakhte huve badhiya content likhe taki aapka adsense jaldi approve ho or kabhi bhi disable na ho.

Is article se related agar aapko koi bhi sawaal humse puchna ho to aap comment me apna sawaal humse puch sakte hai.

Read More »

Blog Ki Template Kaise Change Kare

Blog Ki Template Kaise Change Kare

Hello dosto aasha karta hun ab tak aap sabhi ne apna blog bana liya hoga or blogging ke bare me kafi kuch sikh bhi gaye honge. Iske phle wale article me apne blogger ke sabhi options or features ke bare me jana tha.

Is article me aap sikhenge ki blog (website) ki template ko kaise change kiya jata hai.

Aapne blogging to karna start kar diya hoga or apne blog par 15 se 20 post bhi dal diye honge , lekin visitors apke blog ko pasand nahi kar rhe kyuki aapke blog ki designing sahi nahi hai , uska template acha nahi hai.

Aapko nirash hone ki zarurat nahi hai dosto is article ko padhne ke bad aap aasani se apne blog par template upload kar paayenge. Template upload karne se phle aapka ye janna zaruri hai ki kis type ka template aapko download karna chahiye jo visitors ko pasand aaye.

1. Template aisa hona chahiye jo fast loading ho.

Kyuki agar aapka template slow load hoga to visitor apki blog ko chood kar dusre blog ke chala jayega.

2. Seo friendly , mobile friendly or adsense friendly ho.

Agar aapka template seo friendly hoga to vo fast loading hoga.

3. Mobile friendly hone se aapka blog mobile me bhi fast loading hoga or mobile me bhi uski design acchi hogi.

4. Adsense friendly hone se aapke blog par jo google ke advertisement hote hai (jisse aapki earning hogi) vo advertisement ache dikhenge.

To dosto ab aapko ek aisa template chahiye jisme ye sab qualitys ho. Google par aise bahut template hai par jis website se aapko template download karna chahiye me aapko vo website bata deta hun.

        gooyabi templates

Is website se aapko jo template sahi lage aap download karlo. Template download ho jane ke bad ab aapko template ko apne blogger par upload karna hai.

Par uske phle aap apne template ki zip file me se  template ki XML file nikal Lijiye.

Agar aap mobile se template upload kar rhe hai to zip file ko open karne ke liye aapko ES FILE EXPLORE is application ki zarurat hogi.

Template Ki Zip File Se XML File Kaise Nikale Mobile Se

Template ki zip file se XML file ko nikalna bahut easy hai.

1. Sabse phle aapko zip file ko open karna hai.

2. fir uske ander se XML file ko copy karke bahar paste karna hai.

Ab aapko ye XML file apne blog me upload karni hai. Jisse blog ki template change ho jayegi.

Blog Ki Template Kaise Change Kare

1. Sabse phle apne blog ke dashboard me jaye.

2. Ab aapke 9 number wale option par jaha template likha hua hai us par click karna hai.

3. Template par click karne ke bad aapko  backup/restore par click karna hai.

Click karne ke bad aapko waha file upload karne ki window show hogi.

Upar likha hua hai download full template

4. Iska matlab hai ki agar aap chahe to apne is wale template ki ek backup file download karne taki agar aap chahe to bad me vapas ye template upload kar ske.

Iske niche likha hua hai upload a template from a file on your hard drive.

5. Iska mtlab hai ki hume apni zip file me se XML file ko upload karna hai apni hard drive mtlb apni hard disk jisko hum mobile me memory card bolte hai.

Yaha aapko file par click karke jo XML file bahar nikali usko select karna hai or fir upload par click karke upload karna hai.

Ab aapke blog ka template change ho chuka hai aap view blog par click karke apna new template or uski design dekh skte hain. Agar aapko template download karne me ya upload karne me koi problem ho ya kuch smjh na aaye to aap comment karke mere se apni problem share kar skte hai.

Next article me aap sikhenge mobile template or desktop template kya hai ? Or inhe kaise use karte hai.

Read More »

Blog Post Ke Liye Image/Photo Kaha Se Download Kare Top 5 Websites

Blog Post Ke Liye Image/Photo Kaha Se Download Kare Top 5 Websites

Hello friends, aap.sabhi jante hai ki blog banane ke bad jab hum apne blog par new post share karte hai to hume post me images or photos ki zarurat padti hai. Lekin jab hum internet se photo download karke blog post me use karte hai to vo copyright issue ban sakti hai. To uske liye hume aisi websites chahiye hogi jaha se hum images bhi download kare or copyright issue bhi na ho. Dosto aaj ke is article me aapko me batane ja raha hun top aisi websites jaha se aap blog post ke liye free me images download kar sakte hai.

Dosto aaj me aapko blog par post karne ke liye images ko use karne ka aisa tarika bataunga jo aapko bahut pasand aayega or aapko copyright images problem bhi nahi hogi.

Blog Post Ke Liye Images/Photo Download Karne Ki Top 5 Websites

1. Flickr

Flickr sabse acchi website hai jaha se aap free me photos download kar sakte ho. Is website ko top bloggers bhi use karte hai jinko kabhi bhi jab images ki zaroorat padti hai.

2. Morgue File

Is website ki images best photos me se ek hai. Jaha aapko apke kam aani wali images aasani se mil jayegi. Is website se aap aasani se free me images download kar sakte ho. Or koi copyright issue bhi nahi hoga.

3. Split Shire

Blog post ke liye free photos download karne ke liye ye ek bahut hi achi website hai. Iski sabhi photos ek se badh kar ek desgining ki hui hai. Lekin iski sabhi images free nahi hai. acchi or best images hone ki wajah se ye website ab paid ho chuki hai.

4. Gratisography

Is website par aapko sabhi images category wise mil jayegi. Aap aasani se blog post ke liye images yaha se free me download kar sakte hai. Yaha aapko badi se badi size me images mil jayegi.

5. Free Digital Photos

Free digital photos ye website bhi top free images websites me se ek hai. Jaha se aap free me images download kar sakte hai. Is website par aapko royalty photos, powerpoint, word , educational projects, photoshop projects or bhi category ki bahut sari images free download kar sakte ho.

Dosto aasha karta hun ab aapko apne blog ke liye free images download karne me koi problem nahi hogi. Dosto vaise to ye sabhi websites top websites hai. Lekin fir bhi me aapko kehna chahunga ki inko carefully use kare. Copyright issue se safe rahne ke liye aap download ki hui images ko toda edit karke bhi use kar sakte hai. Taki aap humesha safe rahe.

Aasha karta hun aapko ye article pasand aaya hoga. Agar aapko is article se related koi bhi bat samjh nahi aayi to aap comment karke apna sawaal humse puch sakte hai.

Read More »

Blog Content Copy Hone Se Kaise Roke??

Blog Content Copy Hone Se Kaise Roke

Hello friends, aaj hum is article me sikhenge blog ke content copy hone se kaise roke. Taki koi bhi humare blog ke content ko copy nahi kar paye.

Blog ke content ko copy hone se rokne ke liye hume text selection ko disable karna hoga. Jisse koi bhi humare blog ke content ko copy nahi kar payega.

Friends new blogger koi bhi acchi website se article copy karke khud ke blog par dal dete hai. Vo sochte hai ki isse unke visitors badhenge par sayad vo ye nahi jante hai ki kisi dusre ke article’s ko copy karke khud ke blog par paste karna black hat seo kehlata hai or aisa karne me unka nuksan hai.

Is article me aaj me aapko bataunga ki blog content ko copy hone se kaise rok sakte hai.

Blog Content Copy Hone Se Kaise Roke

Blog Content Copy Hone se rokne ke liye hume ek code ko blog ke widget me add karna hai jisse aapke blog par text selection disable ho jayega or koi bhi blogger aapke content ko copy nahi kar payega.

How To Disable Text Selection

1. Sabse pahle blog ke dashboard me jaye or layout par click kare.

2. Layout par click karne ke bad add a gadget par click karke html/java script ko select kare.

3. Html/java script me ye code paste kare or fir save par click kare.

<!--learnhinditricks.com--> <script language='JavaScript1.2'> function disableselect(e){ return false } function reEnable(){ return true } document.onselectstart=new Function ("return false") if (window.sidebar){ document.onmousedown=disableselect document.onclick=reEnable } </script> <!--learnhinditricks.com-->

4. Ab aap apne blog ko visit kare or waha se content copy karne ki koshish kare.

Aap dekh sakte hai ki ab koi bhi aapke blog se kuch bhi copy nahi kar sakta hai. Matlab aapke blog se ab text selection disable ho gaya hai.

Dosto aasha karta hu ye article aapka accha laga hoga. Is article se related agar aapko koi bhi bat samjh nahi aayi ho to aap comment karke apna sawaal humse puch sakte hai.

Read More »