Pages

Search This Website

Wednesday, March 15, 2017

Free Me Domain Name Kaise Kharide

Free Me Domain Name Kaise Kharide

Domain name sabhi blog or websites ke liye zaruri hota hai , Mene domain name kharidne ka pahle bhi ek article likha hai jisme mene btaya tha godaddy se domain name kharidna.

Is article me aap sikhenge free me domain name kharidna.

Free Domain Name Kaise Kharide

Bahut sari aisi companies hai jo 1 year ke liye free me domain name provide karvati hai jisko hum humari blog or website ke liye use kar sakte hai, me aapko sabse acchi company ke bare me bataunga jiska domain name aap 1year ke liye blog or website par use kar sakte hai free me.

Freenom ye ek website hai jo 1 year ke liye free me domain name provide karvati hai yaha se aap free me domain name kharid sakte hai.

Freenom se domain name kaise kharide

1. Freenom se free me domain name kharidne ke liye sabse pahle iski website ko visit kare or apna domain name find kare jo aap blog ke liye use karna chahte hai.

2. Ab aapko 5 domain show honge unme se aap jo blog ke liye use karna chahte hai vo select kar sakte hai.

Aap dot tk select kar sakte hai kyuki google adsense dot tk domain name ko accept karta hai.

3. Get it now par click karne ke bad vo domain name aapke cart me add ho jayega fir go to cart par click kare.

4. Ab period me 12month free select kare Or fir continue par click kare.

5. Iske bad aapse aapka gmail account pucha jayega or verify karne ke liye kaha jayega, apna gmail enter kare or usko verify kare.

6. G-mail par aapko ek mail milega waha ek link hoga us par click kare or fir apna pura naam or address se freenom par account create kare.

7. Company name ko khali rahne de or terms and conditions ko accept karke complete offer par click kare.

8. Freenom par apna gmail or password enter karke log in kare.

Ab aapka domain name aapne kharid liya hai or vo aapke account me add ho gaya hai.

Aasha karta hun aapko ye article pasand aaya hoga. Is article se related aapko agar koi sawaal puchna ho to comment me puch sakte hai.

No comments:

Post a Comment