Pages

Search This Website

Wednesday, March 15, 2017

Google Adsense Ki New Privacy Policy Kya Hai

Google Adsense Ki New Privacy Policy Kya Hai

Is article me aap janenge google adsense ki privacy policy ke bare me.

Adsense kyu aapke blog ko approve nahi karta ya kyo aapka adsense disable ho gaya hai ya ho sakta hai.

Agar aap ek adsense user hai ya aap adsense ko use karna chahte hai to aapko iski privacy policy ke bare me zaroor janna chahiye taki aapka adsense disabled na ho. Or aapko kisi bhi tarah ki kisi pareshani ka samna na karna pade.

Google Adsense New Privacy Policy

1. Copyright content

Google copyright content ko kabhi allow nahi karta or na un par add allow karta hai, google only unique content pasand karta hai. Kabhi bhi kisi ka post copy na kare varna aapka adsense kabhi bhi approve nahi hoga or agar aap aisa kar rahe hai to aapka adsense kabhi bhi disable ho sakta hai. Yaad rakhe ki google 100$ ho jane par payment karta hai, or agar aap copyright content use kar rahe hai to google 100$ hone se pahle aapka adsense disable kar dega isliye humesha khud ke banaye huve article blog par share kare.

2. Copyright images

Agar aap google se download ki hui images aapke blog par use kar rahe hai to vo bhi copyright issue me aati hai, humesha apne post ke liye image khud banaye na ki google se download karke upload kare. Agar aapka adsense approve nahi ho raha hai to uska ye bhi ek bada reason hai.

3. Ads ko galat jagah par use karna

Visitors aapke blog par content read karne ke liye aate hai na ki ads par click karne, agar aapne google adsense ke ads post me aisi jagah par lagaye huve hai jaha par visitors galti se click kar rahe hai kyuki unko samjh nahi aa raha hai ki jo aapne likha hai vo google ka add hai ya fir aapka content or agar visitors us par galti se click karke vapas back aate hai to vo error click me aata hai or is vajah se aapka adsense kabhi bhi disable ho sakta hai.

4. Explicit text

Agar aapne post me only title or headlines ka use kiya hua hai to adsense un post par add allow nahi karta hai. Kuch log post me sirf title likh kar kuch line likhte hai or waha add show kar dete hai or unka adsense disable ho jata hai, to kabhi bhi aisa na kare post ko pura likhe or us par jitna long aapka content hai uske aadhar par add lagaye.

5. Users ko add par click karne ke liye uksana

Agar aap users ko ads par click karne ke liye uksa rahe hai, unko bol rahe hai add par click karne ke liye to adsense aapke account ko disable kar sakta hai, google ko aapke blog ke bare me puri jaankari hoti hai ki aap kya kar rhe hai isliye users ko add par click karne ke liye kabhi bhi nahi bole.

6. Fake visitors

Google adsense fake visitors allow nahi karta hai, kuch websites hai jo free me visitors provide karvati hai blog par traffic increase karne ke liye to aap agar jyada paisa kamane ke liye aisa kar rahe hai to bhi aapka adsense disable ho sakta hai kyuki adsense only real visitors allow karta hai jo aapke likhe huve post ko read kare.

To dosto aap google ki in sabhi privacy policy ko dhiyan me rakhte huve badhiya content likhe taki aapka adsense jaldi approve ho or kabhi bhi disable na ho.

Is article se related agar aapko koi bhi sawaal humse puchna ho to aap comment me apna sawaal humse puch sakte hai.

No comments:

Post a Comment