Google Search Console Kya Hai Or Ispar Account Kaise Banaye
Hello friends aaj hum janenge google search console ke bare me or is par account kaise banaye or isse hume kya kya fayde hai.
Google search console jo ki google ki free service hai jisse hum humari blog or website par traffic bada skte hai. Hum itni mehnat karte hai or apni blog ke liye post likhte hai par humari blog par traffic na aane ki vajah se hum upset ho jate hai , google search console ki help se hum humari website par google search ki throw traffic bada sakte hai.
Ye to aap sabhi jante hai ki google duniya ka sabse bada search engine hai. Agar hume kisi topic par koi jaankari chahiye to hum vo sabse phle google par search karte hai. Google search console ki madad se humari post bhi google me aane lag jati hai or fir humara traffic badne lagta hai.
Google search console me account kaise banaye
1. Sabse phle google search console ki website par jaye or gmail se apna account log in kare.
2. Account log in karne ke bad ab aapko isme apni website/blog add karna hai.
3. Add a property par click kare.
4. Ab apni website ka url yaha enter kare or add par click kare.
5. Website add par click karne ke bad ab aapko iska verification karna hai uske liye alternate methods par click kare or html tag wala method select kare.
6. Html tag me aapko ek code diya jayega jise aapko apne blog/website ke template me add karna hai.
7. Apne blogger ke dashboard me jaye or template par click karke edit html par click kare.
8. Template ke ander aapko upar first me <head> show hoga uske niche ye code paste karke save karde.
9. Ab varify par click kare.
Ab aapke blog/website google search console me add ho gayi hai.
Iske or bhi bahut sare fayde hai.
1. Google search me humari website jaldi aati hai.
2. Humari website par error nahi aate.
3. Isko help hum humare page ya post ko google search engine se hide kar skte hai jisse visitors humare un page ya post ko search engine me nahi dekh skte .
Dosto aasha karta hun google search console ke bare me ab aapko kafi knowledge ho gyi hogi.
Is article se related aap agar koi sawaal puchna chahte hai to comment krke puch skte hai
No comments:
Post a Comment