Blog Ki Template Kaise Change Kare
Hello dosto aasha karta hun ab tak aap sabhi ne apna blog bana liya hoga or blogging ke bare me kafi kuch sikh bhi gaye honge. Iske phle wale article me apne blogger ke sabhi options or features ke bare me jana tha.
Is article me aap sikhenge ki blog (website) ki template ko kaise change kiya jata hai.
Aapne blogging to karna start kar diya hoga or apne blog par 15 se 20 post bhi dal diye honge , lekin visitors apke blog ko pasand nahi kar rhe kyuki aapke blog ki designing sahi nahi hai , uska template acha nahi hai.
Aapko nirash hone ki zarurat nahi hai dosto is article ko padhne ke bad aap aasani se apne blog par template upload kar paayenge. Template upload karne se phle aapka ye janna zaruri hai ki kis type ka template aapko download karna chahiye jo visitors ko pasand aaye.
1. Template aisa hona chahiye jo fast loading ho.
Kyuki agar aapka template slow load hoga to visitor apki blog ko chood kar dusre blog ke chala jayega.
2. Seo friendly , mobile friendly or adsense friendly ho.
Agar aapka template seo friendly hoga to vo fast loading hoga.
3. Mobile friendly hone se aapka blog mobile me bhi fast loading hoga or mobile me bhi uski design acchi hogi.
4. Adsense friendly hone se aapke blog par jo google ke advertisement hote hai (jisse aapki earning hogi) vo advertisement ache dikhenge.
To dosto ab aapko ek aisa template chahiye jisme ye sab qualitys ho. Google par aise bahut template hai par jis website se aapko template download karna chahiye me aapko vo website bata deta hun.
gooyabi templates
Is website se aapko jo template sahi lage aap download karlo. Template download ho jane ke bad ab aapko template ko apne blogger par upload karna hai.
Par uske phle aap apne template ki zip file me se template ki XML file nikal Lijiye.
Agar aap mobile se template upload kar rhe hai to zip file ko open karne ke liye aapko ES FILE EXPLORE is application ki zarurat hogi.
Template Ki Zip File Se XML File Kaise Nikale Mobile Se
Template ki zip file se XML file ko nikalna bahut easy hai.
1. Sabse phle aapko zip file ko open karna hai.
2. fir uske ander se XML file ko copy karke bahar paste karna hai.
Ab aapko ye XML file apne blog me upload karni hai. Jisse blog ki template change ho jayegi.
Blog Ki Template Kaise Change Kare
1. Sabse phle apne blog ke dashboard me jaye.
2. Ab aapke 9 number wale option par jaha template likha hua hai us par click karna hai.
3. Template par click karne ke bad aapko backup/restore par click karna hai.
Click karne ke bad aapko waha file upload karne ki window show hogi.
Upar likha hua hai download full template
4. Iska matlab hai ki agar aap chahe to apne is wale template ki ek backup file download karne taki agar aap chahe to bad me vapas ye template upload kar ske.
Iske niche likha hua hai upload a template from a file on your hard drive.
5. Iska mtlab hai ki hume apni zip file me se XML file ko upload karna hai apni hard drive mtlb apni hard disk jisko hum mobile me memory card bolte hai.
Yaha aapko file par click karke jo XML file bahar nikali usko select karna hai or fir upload par click karke upload karna hai.
Ab aapke blog ka template change ho chuka hai aap view blog par click karke apna new template or uski design dekh skte hain. Agar aapko template download karne me ya upload karne me koi problem ho ya kuch smjh na aaye to aap comment karke mere se apni problem share kar skte hai.
Next article me aap sikhenge mobile template or desktop template kya hai ? Or inhe kaise use karte hai.